Daman mera bhara hai Sarkar Kay Karam Say
Sub kuch mujhay mila hai, sarkar ke karam se.
Sarkar kay karam pay, qurban kyun na jayoon
Har kaam ban gaya hai, sarkar kay karam say.
Mehfil mein aanay walay, youn kush naseeb hain sub
Sab ka bhala huwa hai, sarkar kay karam say,
Iss baat ka yakeen hai, girta nahin dubara
Jo bhi sanbhal gaya hai, sarkar ke karam say.
Aa ker hawaein khud hi karti, hain ab hifazat
Roshan mera diya hai, sarkar kay karam say.
Bigri banay wala, hota hai aik lamha
Lamha woh aagaya hai, sarkar ke karam say.
Aayi na kaam dolat, jisko mili ijazat
Taiba woh ja raha hai, sarkar kay karam say.
Sab hee kamal Taiba, jatay hain bari bari
Mujh ko bhi aasra hai, sarkar kay karam say.
Daman mera bhara hai Sarkar Kay Karam Say
Sub kuch mujhay mila hai, sarkar ke karam se.