Mark Favourite function is updated. please check-out!
About Dar E Nabi Par
Artist:
Hooria Faheem Qadri
Dar e Nabi per para rahun ga paray he rehne se kam ho ga, Kabhi tu qismat khule ge mere kabhi tu mera salam ho ga..
Dar E Nabi Par Para Rahoon Ga Lyrics
Dar-e-Nabi pe para rahoon ga parey hi rehne se kaam ho ga
Kabhi to qismat khuly gi meri kabhi to mera salam ho ga
Khilaf-e-mehboob kuch huwa hai na koi aashiq se kaam ho ga
Khuda bhi hoga udhar bhi ah dil jidhar woh aalii maqam ho ga
Kabhi to qismat khuly gi meri kabhi to mera salam hoga
Kiye hi jaoon ga araz matlab milega jab tak na dil ka matlab
Na shaam-e-matlab ki subha ho gi na yeh fasaanaa tammamm ho ga
Kabhi to qismat khuly gi meri kabhi to mera salam ho ga
Jo dil se hai Maiel-e-Payambar yeh is ki pehchan hai muqarar
Ke har dam is be nawa ke lab par darood ho ga salam ho ga
Kabhi to qismat khuly gi meri kabhi to mera salam ho ga
Isi tawaqqah py jii raha hoon yahi tamanaa jala rahi hai
Nigah e lutfo karam na ho gi to mujh ko jeena haram ho ga
Kabhi to qismat khuly gi meri kabhi to mera salam ho ga