202,462 views | 48,742 downloads | Published on August 15, 2019
Artist: Qari Waheed Zafar Qasmi
Faslon Ko Takalluf Hai Hum Se Agar, Hum Bhi BeBas Nahi Be Sahara Nahi.
A very Beautiful Naat-e-Rusool-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam (صلی Ø§Ù„Ù„Û Ø¹Ù„ÛŒÛ ÙˆØ³Ù„Ù…) by Qari Waheed Zafar Qasmi Sb. Download audio naat shareef Faslon Ko Takaluf Hai. Read naat lyrics of Faslon Ko Takaluf Hai in urdu. Download all naat audios in the voice of Qazi Waheed Zafar.
Ùاصلوں Ú©Ùˆ تکل٠ÛÛ’ ÛÙ… سے اگر ØŒ ÛÙ… بھی بے بس Ù†Ûیں ØŒ بے سÛارا Ù†Ûیں
خود اÙÙ†Ú¾ÛŒ Ú©Ùˆ Ù¾Ùکاریں Ú¯Û’ ÛÙ… دÙور سے ØŒ راستے میں اگر پاؤں تھک جائیں Ú¯Û’
ÛÙ… مدینے میں تنÛا Ù†Ú©Ù„ جائیں Ú¯Û’ اور گلیوں میں قصدا بھٹک جائیں Ú¯Û’
ÛÙ… ÙˆÛاں جا Ú©Û’ واپس Ù†Ûیں آئیں Ú¯Û’ ØŒ ڈھونڈتے ڈھونڈتے لوگ تھک جائیں Ú¯Û’
جیسے ÛÛŒ سبز گنبد نظر آئے گا ØŒ بندگی کا Ù‚Ø±ÛŒÙ†Û Ø¨Ø¯Ù„ جائے گا
سر جÙھکانے Ú©ÛŒ ÙÙرصت ملے Ú¯ÛŒ Ú©Ùسے ØŒ Ø®Ùود ÛÛŒ پلکوں سے سجدے ٹپک جائیں Ú¯Û’
نام٠آقا جÛاں بھی لیا جائے گا ØŒ ذکر اÙÙ† کا جÛاں بھی کیا جائے گا
Ù†Ùور ÛÛŒ Ù†Ùور سینوں میں بھر جائے گا ØŒ ساری Ù…ØÙÙ„ میں جلوے لپک جائیں Ú¯Û’
اے مدینے Ú©Û’ زائر Ø®Ùدا Ú©Û’ لیے ØŒ داستان٠سÙر Ù…Ùجھ Ú©Ùˆ یوں مت سÙنا
بات بڑھ جائے Ú¯ÛŒ ØŒ دل تڑپ جائے گا ØŒ میرے Ù…Øتاط آنسÙÙˆ Ú†Ú¾Ù„Ú© جائیں Ú¯Û’
اÙÙ† Ú©ÛŒ چشم٠کرم Ú©Ùˆ ÛÛ’ اس Ú©ÛŒ خبر ØŒ کس Ù…ÙساÙر Ú©Ùˆ ÛÛ’ کتنا شوق٠سÙر
ÛÙ… Ú©Ùˆ اقبال جب بھی اجازت ملی ØŒ ÛÙ… بھی آقا Ú©Û’ دربار تک جائیں Ú¯Û’
Faslon Ko Takaluf Hai Hum Se Agar Hum Bhi Be-Bas Nahi Be Sahara Nahi
Khud Unhi Ko Pukarein Gein Hum Door Se Rastey Mein Agar Paon Thak Jaen Gein
Hum Madiney Main Tanha Nikal Jaen Gein Aur Galiyon Main Qasdan Bhatak Jaen Gein
Hum Wahan Ja Ke Wapis Nahi Ayein Gein Dhoondtey Dhoondtey Loag Thak Jaen Gein
Jesey Hi Sabz Gunmbad Nazar Aye Ga Bandagi Ka Qareena Badal Jaye Ga
Sar Jhukaney Ki Fursat Miley Gi Kisey Khud Hi Palkon Se Sajday Tapak Jaen Gein
Naam e Aaqa Jahan Bhi Liya Jaye Ga Zikar Unka Jahan Bhi Kiya Jaye Ga
Noor Hi Noor Seenon Main Bhar Jaye Ga Saari Mehfal Main Jalwey Lapak Jaen Gein
Ae Madiney Ke Zaahir Khuda Ke Liye Dastan e Safar Mujh Ko Yoon Mat Suna
Baat Barh Jaye Gi Dill Tarap Jaye Ga Merey Mohtaat Ansu Chalak Jayen Gein
Unki Chashm e Karam Ko Hai Es Ki Khabar Kis Musafir Ko Hai Kitna Shoaq e Safar
Hum Ko Iqbal Jab Bhi Ejazat Mili Hum Bhi Aaqa Ke Darbar Tak Jaen Gein