Gham Sabhi Rahat Taskeen

Gham Sabhi Rahat-o-Taskeen

16,499 views   |   409 downloads   |   Published on July 5, 2018


Download 409 Published by Hafiz Rao Muhammad Arif attari

Favourite
About Gham Sabhi Rahat Taskeen

Artist: Hafiz Rao Muhammad Arif attari

Naat Lyrics

Gham sabhi rahat o taskeen mein dhal jaate hain 
jab karam hota hai haalaat badal jaate hain 
 
Hari ho jaati hai sookhi kheti 
jab karam hota hai bigri bann jaati hai 
 
Jab karam hota hai jaag uth te hain 
Soye muqaddar jab karam hota hai 
 
Ism-e-Ahmad ka wazeefa hai har ik gham ka ilaaj 
laakh khatre hon issi naam se tal jaate hain 
 
Koi dekhe to sahe zara unki duhai dekar 
Ishq saadiq ho to paththar bhi pighal jaate hain 
 
Unki rehmat hai khata kosh gunahgaaron ki 
khote sikke sarre bazaar bhi chal jaate hain 
 
rakh hi lete hain bharam unke karam ke sadke 
karam ki ik nazar hai jispe daali miqaddar ho gaya 
 
Aa pade hain tere kadmon mein ye sun kar ham bhi 
Jo tere kadmon pe girte hain sambhal jaate hain 
 
Apni aagosh mein le leta hai jab unka karam 
Zindagi ke sabhi andaaz badal jaate hain 
 

Hafiz Rao Muhammad Arif attari

Also known as: Muhammad Arif attari

17 Uploads . 4.0K Profile Views

View profile