218,112 views | 16,936 downloads | Published on July 30, 2018
Koi Tou Hai Jo Nizam e Hasti Chala Raha Hai
Wohi Khuda Hai..
Dikhayee Bhi De Jo Nazar Bhi Aa Raha Hai
Wohi Khuda Hai..
Wohi Hai Mashriq, Wohi Hai Maghrib
Safar Karen Sb Usi Kee Janib
Har Ainay Mai Jo Aks Apna, Dikha Raha Hai
Wohi Khuda Hai
Talash Usko Na Kar But-ton Main
Wo Hai Badalti Hui Rut-ton Main
Jo Din Ko Rat Aur Rat Ko Din, Bana Raha Hai
Wohi Khuda Hai
Nazar Bhi Rakhe Samaatain Bhi
Wo Jan Leta Hai Niyyatain Bhi
Jo Khana e La Shaoor Mai, JagMaga Raha Hai
Wohi Khud Hai
Kisi Ko Sochon Ne Kb Saraha
Wohi Hua Jo Khuda Ne Chaha
Jo Ikhtiyar e Bashar Pe Pehray, Bitha Raha Hai
Wohi Khuda Hai
Kisi Ko Taj e Waqar Bakh-shay
Kisi Ko Zilat Ke Ghar Bakh-shay
Jo Sb Ke Mathay Par Mohr e Qudrat, Laga Raha Hai
Wohi Khuda Hai
Safed Uska Siyah Uska
Nafas Nafas Hai Gawah Uska
Jo Shula e Jan Jala Raha Hai, Bujha Raha Hai
Wohi Khuda Hai
Koi Tou Hai Jo Nizam e Hasti, Chala Raha Hai
Wohi Khuda Hai..
Poet and Hamd Khawan: Muzaffar Warsi Marhoom.