26,228 views | 1,872 downloads | Published on May 28, 2016
Haqeeqat Me Woh Lutf e Zindagi Paya Nahi Kartey. This Beautiful kalam is written by Abdul Hamid Badayooni (RA). It has been recited by so many artists in different ways. This audio naat is in voice of AlHaaj Saeed Hashmi. His voice has deep love for Muhammad (PBUH). To download this mp3 naat click on download button.
Haqeeqat Me Woh Lutf e Zindagi Paya Nahi Kartey Naat Lyrics
Haqeeqat me woh lutf e zindagi paaya nahi karty
Jo yaad-e-Mustafa se dil ko germaya nahi kartay.
Zaban per shikwae ranj o alam laaya nahi karty
Nabi (SAWW) kay naam lewa gaham say ghabraya nahin karty
Yeh darbaar e Mohammad hai yahan apnon ka kiya kehna
Yahaan se hath khali ghair bhi jaya nahi karty
Are o na samaj qurbaan ho ja inke roze par
Yeh lamhe zindagi me baar baar aya nahin karty
Yeh he darbaar e Muhammad hai yahaan milta hei bemange
Arey nadaan yahaan daman ko phelaya nehi karte.
Madinay jo bhi jata hai, woh jholi bhar kay lata hai
Sakhi data hain khali haath lotaya nahin karty
Mohammad Mustafa key bagh key sabh phool aise hain
Jo bepani ke tar rehte hain murjaya nahi karty
Nadamat sath le kar hashrr mein ae aasio jana
Suna hai sharm waloon ko woh sharmaya nahi karte.
Jo unke damaan e rehmet say wabasta hai ae Hamid,
Kisi kay samnay woh haath phelaya nehi karte.
Mohammad Mustafa ki shaan e rehmet to zarah dekho,
Sittam sehtey to hain lekin sittam daya nehi karty
Aggar ho jazba e sadiq to aksar humne dekha he,
Woh khud tashreef le ate hain tarpaya nehi karty
Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karty
Jo yaad e Mustafa se dil ko garmaya nehi karty