51,604 views | 2,868 downloads | Published on March 14, 2017
Hadood e Tair e Sidra Huzoor ï·º jante hain
Kahan hain Arsh e Muhallah Huzoor ï·º jante hain
Unhen khabar hai kahien se parho darood un per
Ke tamam dehar ka naqasha Huzoor ï·º jante hain
Mein is yaqeen se nikla hoon janib e Taibaa
Mere safar ka irada Huzoor ï·º jante hain
Baroz e Hashr shifaat karen gayen chun chun ker
Ke her ek gulam ka chehra Huzoor ï·º jante hain
Main mangta hoon unhi se unhi se mangoon ga
Huzoor per hai bharosa Huzoor ï·º jante hain
Ise liya tu her ek baat un se pochty thy
Yeh jantay thy Sahabah Huzoor ï·º jante hain
Bula bhi sakty wo aur aa bhi sakty hain
Ke doorion ko mittana Huzoor ï·º jante hain
Pohnch ker sidra per Rooh ul Amin yeh kehne lagay
Ke yahan se agay ka rasta Huzoor ï·º jante hain
Seekhie bat yeh Sarwar humien Sahabah ne
Ke janta hai Khuda ya Huzoor ï·º jante hain
Hadood e Tair e Sidra Huzoor ï·º jante hain
Kahan hain Arsh e Muhallah Huzoor ï·º jante hain