Mark Favourite function is updated. please check-out!
About Ilham Ki Rim Jhim
Artist:
Qari Hafiz Junaid Mustafa
Ilham Ki Rim Jhim Kaheen Bakhshish Ki Ghata Hai, listen or play online beautfiul urdu naat shareef in the voice of Hafiz Junaid Mustufa. Download audio naat shareef Ilham Ki Rim Jhim Kaheen Bakhshish Ki Ghata Hai free mp3 in best audio quality. Read naat lyrics of Ilham Ki Rim Jhim Kaheen Bakhshish Ki Ghata Hai.
Ilham Ki Rim Jhim Naat Lyrics
Ye Dil Ka Nagar Hai K Madinay Ki Fiza Hai
Sanso'n Main Mehakti Hain Manajaat Ki Kaliya'n
Kaliyo'n K Katoro'n Pay Tera Naam Dhara Hai
Galiyo'n Main Utarti Hain Malaayak Ki Qatarein
Ehsas Ki Basti Main Ajab Jashan Bapa Hai
Ayaat K Jhurmat Main Teray Naam Ki Musand
Lafzo'n Ki Angoothi Main Nageena Sa Jura Hai
Ik Baar Tera Naqsh_E_Qadam Choom Liya Tha
So Baar Falak Shukr K Sajday Main Jhuka Hai
Khursheed Teri Raah Main Bhatakta Hua Jugnu
Mehtab Tera Reza_E_Naqsh_E_Kaf_E_Paa Hai
Talmeeh_E_Shab_E_Qadr Tera Aks_E_Tabasam
"Noroz" Tera Husn_E_Gireban_E_Qaba Hai
Her Subh Teray Farq_E_Falak Naaz Ka Par Tou
Her Sham Teray Dosh_E_Mua'la Ki Rida Hai
Taaray Teray Rahwaar K Qadmon K Shiraray
Gurd'on Tera Daryoza_Gar_E_Aabla_Paa Hai
Ya Teray Khad_O_Khaal Say Kheera_Mah_O_Anjam
Ya Dhoop Nay Khud Saaya Tera Orh Liya Hai
Ya Raat Nay Pehni Hai Malaaahat Teri Tan Par
Ya Din Teray Andaz_E_Sabaahat Pay Gaya Hai
Yaseen Teray Ism_E_Girami Ka Zameema
Hai Noon Teri Madh, Qalam Teri Sana Hai
Walayal Teray Saaya_E_Gaisu Ka Taraasha
Wal_Asar Teri Neem Nigaahi Ki Ada Hai
Faaqo'n Say Khameeda Hai Sada Qaamat_E_Darba'n
Thokar Main Magar Silsila_E_Arz_O_Sama Hai
Geiro'n Pay Bhi Altaaf Teray Sab Say Alag They
Apno'n Pay Nawazish Ka Bhi Andaz Juda Hai
Dil Main Ho Teri Yaad To Tufaan Bhi Kinaara
Haasil Ho Tera Lutf To Sar_Sar Bhi Saba Hai
Lamho'n Main Simat Kar Bhi Tera Dard Hai Taza
Sadiyo'n Main Bikhar Kar Bhi Tera Ishq Naya Hai
Dekho To Teray Dar Ki Ghulami Main Hai Shaahi
Sochou'n To Tera Shoq Mujhay "Zil_E_Huma" Hai
Rag Rag Ne Sameti Hai Tere Naam Ki Faryad...
Jab Jab Bi Pareshan Mujhe Dunya Ne Kia Hai...
Suraj Ko Ubharne Nhi Deta Tera Habshi...
Be Zar Ko Abu-Zar Teri Bakhshish Ne Kia Hai...
Hai Moj_E_Saba Ya Teri Saanso'n Ki Bhikaaran?
Hai Mosam_E_Gul Ya Teri Khieraat_E_Qaba Hai
Khursheed_E_Qayaamat Bhi Sarzfaraaz Bohat Hai
Lekin Teri Qaamat Ki Kashish Is Say Siva Hai
A Gumbad-e-Khizra K Makeen Meri Madad Kr...
Ya Phir Ye Bata Kon Mera Tere Siwa Hai
Bakhshish Teri Ankhon Ki Taraf Dekh Rhi Hai...
"Mohsin" Tere Darbar Mn Chup Chap Khara Hai