83,552 views | 2,677 downloads | Published on May 7, 2017
Ishq ko husn ke andaz sikha loon to chalun
Manzar e Kaabah nigahon main basa loon to chalun
Apne Mehboob-e-Haqqiqi ko mana loon to chalun
Apni bigri huwe har baat bana loon to chalun
Khiinchta hai abhi qadmon ko mutaaf-e-Kaaba
Pyaas talwoon ki abhi aur bujha lun to chalun
Kar loon ek baar zara phir se tawaaf e Kaaba
Rooh ko raqs ke andaz sikha loon to chalun
Dar-e-Kaaba se phir ek baar lipat ker roo loon
Aur kuch ashk nadaamat ke baha loon to chalun
Choom loon barh ke phir aik baar ghilaaf-e-Kaabah
Tashnagi honton ki kuch aur bujha loon to chalun
Ishq ko husn ke andaz sikha loon to chalun
Manzar e Kaaba nigahon me basa loon to chalun