96,460 views | 14,314 downloads | Published on December 30, 2016
Shahbaz Qamar Fareedi has recited Kash Main Dour e Payamber Main Uthaya Jata in a beautiful way. This naat is recited by many other naat khwans. You can listen this naat in the voice of Farhan Ali Waris and Danni Yasir.
Listen this naat in the voice of Farhan Ali Waris please click here Kash Main Dour e Payamber Main Uthaya Jata
Listen this naat in the voice of Yasir Mehmood please click here Kash Main Dour e Payamber Main Uthaya Jata
Kash main Door e Payambar main Uthaya jata
Bakhuda Qadmoon main Sarkar ke paya jata
Sath sarkar ke gazhwaat main shamil hota
Un ki nusrut main lahu mera bahaya jata
Kash Main...
Rait ke zaroon main Allah Badal deta mujhay
Phir mujhy Rahe -e- Muhammad main bichaya jata
Kash main..
Khak ho jata main sarkar ke qadmoon ke taley
Khak ko khak-e-madina main milayaa jaata
Kash main..
Kash ah kash main hota koi ase lakrhii
Jis ko sarkar ke member main lagaya jata
Kash main..
Ghas he hota madina ke gali khoochoon ki
Aur sarkar ke nakay ko khilaaya jata
Kash main..
Un ke rozay ke dar o Bam sajhanay ke liya
Rozano main mere ankhon ko lagaya jata
Kash main..
Laya jata sar e Darban aseeron ki tarah
Hukam pe main un ke azad karaya jata
Kash main..
Bun ke le jata mujy naat ke shairon main koi
Rubruh un ke he main un ko he sunaya jata
Kash main..
Hoty us door ka qisa koi Noor-O-Farhan
Aj ke door main bachon ko parhaya jata
Kash main Door e Payambar main Uthaya jata
Bakhuda Qadmoon main Sarkar ke paya jata