142,289 views | 8,489 downloads | Published on March 8, 2018
"Muflis-e-Zindagi ab na samjhay koi" beautiful naat is recited by naat khawan Muzaffar Warsi from his album "Khusbo-e-Rasool".
Muflis E Zindaghi ab na samjhay koi, Mujh ko Ishq e Nabi is qadar mil gaya
Jagmagaie na kyuin mera Aqas-E-Darood, Ek pathar ko ainaa ghar mil gaiya
Jis ki rehmat se taqdeer insan-E-khule us ki janib he darwaza jahan khule
Jane umer-e-Rawahan le ker jati kahan, khair se mujh ko khair ul Bashr mil giya
Mehwar-E-do jihaan zaat sarkar ki, aur mere hesiyaat ek parkar ki
Us ki rehguzaar teh na ho umer bhar Qibla E Arzoo tu mager mil giya
Us ka dewana hoon us ka majzoob hoon, kiya ye kum ke main us se mansoob hoon
Sarha- E-Hashr tk jayun ga bedharak, Mujh tu itna Zad-E-Safar mil giya
Zehan be-rang tha sans be-roop the rooh-perwa karhi dhoop the
Us ke Chamsh-E-Gani Ronaq-E-Jahn bani, chahoen jis ki ganhi wo shajhar mil giya
Jab se mujh per huwa mutufa ka karam ban giya dil Muzaffar Chiragh-E-Haram
Zindaghi phir rahe the batakhty huwe, mere khana badoshi ko ghar mil giya
Muflis E Zindaghi ab na samjhay koi, Mujh ko Ishq e Nabi is qadar mil gaya
Jagmagaie na kyuin mera aqas e darood, Ek pathar ko ainaa ghar mil gaiya