278,717 views | 19,928 downloads | Published on December 3, 2016
Artist: Muhammad Owais Raza Qadri Attari
Rok Leti Hai Aapki Nisbat,Teer Jitne Bhi Hum pe Chalte hain
Yeh Karam Hai Huzoor Ka Hum par ane waale azab tallte hain
Wohi bharte hain jooliyan sub ki Woh Samajhte Hain Boliyan Sabki
Aoo Darbar-e-Mustafa ko Chalein gham khushi mein wahien py dhalte hein
Apni auqat sirf itni hai kuch nahi baat sirf itni hai
Kal bhi tukron py un ke palte thy ab bhi tukron pe un ke palty hain
Ab Humain Kiya koi giraye ga har sahara galy lagaye ga
Hum ne khud ko gira diya hai wahan girney wale jahan sambhaltey hain
Zikr-e-sarkar ke ujaalon ki benihayat hai Rifa'atain Khalid
Yah ujaley kabhi na simtain gayen yeh woh suraaj nahi jo dhalte hain
Yeh Karam Hai Huzoor Ka Hum par,Ane waale azab tallte Hain
Rok Leti Hai Aapki Nisbat,Teer Jitne Bhi Hum pe Chalte hain
Yeh Karam Hai Huzoor Ka Hum par ane waale azab tallte hain
Rok Leti hai aap ki nisbat, this naat is recited by Owais Raza Qadri.
375 Uploads . 860.1K Profile Views
View profile