258,037 views | 30,651 downloads | Published on January 28, 2018
Listen a very beautiful naat by Junaid Jamshed.
Mujhy furqat mein reh ker phir wo Makkah yad ata hai
Wo Zamzam yad ata hai wo Kaaba yad ata hai
Phen ker serf do kapray mera wo chkthe phirna
Wo koshish yad ati hai wo naara yad ata hai
Jahan ja ker mein sar rakhta jahan mein hath phelata
Wo chokhat yad ati hai wo parda yad ata hai
Kabhi weshat mein a ker wo saffa per ja ke charh jana
Wo Massah yaad ata hai wo Marwa yad ata hai
Kabhi wo daur ker chalna kabhi ruk ruk ker reh jana
Wo chalna yad ata hai wo naqsha yad ata hai
Kabhi chaker lagana hajion ki saaf mein lar dhar ker
Wo dhakay yaad aty hain wo jaghray yad aty hain
Kabhi un se hat ker wo dekhna Kaabaa ko hasrat se
wo hasrat yaad ati hai wo Kaabaa yad ata hai
Kabhi jana minah ko aur kabhi medaan e Arfah ko
Wo majmaah yad ata hai wo sehra yad ata hai
Wo pathar marna sheetan ko takbeer parh parh ker
Wo gogha yad ata hai Wo sauda yad ata hai
Minah mein loaut ker qurbani ker mera dunbay ko
Wo sunnat yad ati hai wo fidya yaad ati hai
Wo rukhsat ho ker mera dekhana Kaaba ko mur mur ker
Wo manzar yad ata hai wo jalwa yad ata hai
Mujhy furqat mein reh ker phir wo Makkah yad ata hai
Wo Zamzam yad ata hai wo Kaaba yad ata hai