26,806 views | 1,573 downloads | Published on June 8, 2016
Koi saleeqa hai aarzu ka, na bandagi meri bandagi hai
Yeh sab tumhara karam hai Aaqa ke baat ab tk bani hui hai
Kisi ka ehsan kyion uthaaye, kisi ko haalat kyion bataaye
Tumhain se maange ge tum hi do ge, tumhare dar se hi loo lagi hai
Atta kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
Mein iss karam ke kaha tha qabil, Huzoor ki banda parwari hai
Shoor o fikro nazar ke daire, hadd ka inse barh na paaye
Na choo saqe un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai
Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai
Bashir kahiye nazir kahiye, unhe siraje munir kahiye
Jo sar ba sar hai kalaam-e-Rabbi, woh mere Aaqa ki zindagi hai
Aamal ki mere asas kya hai, baajuz nadamat ke paas kya hai
Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai
Hai Kaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq
Magar jo maqsood-e-aashqi hai, Huzoor ke dar ki haazri hai
Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
Nabi ka irfan zindagi hai, Nabi ka irfan bandagi hai
Yeh sab tumhara karam hai aaqa ke baat ab tak bani huwi hai
MashaALLAH beautiful naat in voice of nadia saleh