Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai Yeh sab tumhara qaram hai aaqa keh baat ab tak bani hui hai Kissi ka ehsan kyon uthain, kissi ko haalat kyon batain Tumhein se mangein gey tum hi do gey, tumhare dar se hi loo lagi hai Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat Mein iss karam ke kaha tha qabil, huzur ki banda parwari hai Shoor o fikro nazar ke dairey, had ka in se barh na paain Na choo sake un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai Bashir kahiye nazir kahiye, unhein siraje munir kahiye Jo sar ba sar hai kalam-e-rabbi, woh merey aaqa ki zindagi hai Ammal ki merey asas kiya hai, bajuz nadamat ke paas kiya hai Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai Hai Qaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq Magar jo maqsoode-e-aashqi hai, huzur ke dar ki haazri hai Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat Nabi ka irfan zindagi hai, nabi ka irfan bandagi hai.