908 views | Published on September 3, 2019
Meray Kamli Walay Ki Shaan Hi Nirali Hai Do Jahaan Ke Dataa Hain Sara Jag Sawali Hai Khuld Jis Ko Kehtey Hain Meri Dekhi Bhali Hai Sabz Sabz Gunbad Hai Aur Sunehri Jaali Hai Chaand Ki Tarah Un Ko Ham Kahain To Mujrim Hain Choonkeh Un Ki Chowkat Peh Chaand Bhi Sawali Hai Chaa’on Mehki Mehki Hai Dhoop Thandi Thandi Hai Shehr E Mustafa Teri Baat Hii Niraali Hai Woh Bilaal Habshi Hoon Yaa Owais Qarani Hoon Un Peh Marney Waaloon Ki Har Adaa Niraali Hai Har Taraf Madiine Main Bhirh Hai Faqiron Ki Aik Denay Walaa Hai Sara Jag Sawaali Hai Ham Gunahgaron Ko Rab Seh Bakhshwaa Lain Ge Un Ke Rab Ne Kab An Kii Koi Baat Taali Hai Qabr Ke Andhairey Ka Aey Sa’iid Keyaa Khatrah Sham’a Mustafa Seh Main Ne Low Jo Lagaa Li Hai